Umar ki mot ki waja ban ne walo ko kabhi maaf ni karo gi : Umar Sharif wife .Hindi /Urdu


Pakistan ke famous king of comedy , the legend Umar Sharif ki wife zareen ghazal ne kaha hy ke wo in ke husband ki moot ki waja ban ne walo ko kabhi maaf ni karo gi .

husband ki death ke baad social media aur instagram per ziada active rhny wali umar sharif ki wife ne ak baar phir instagram account per ak bar phir ak jazbati post jari kia hy .

Instagram per video share krty hoy Umar sharif ki wife ne likha hy ke " 40 din se me ne naashta aur khana ni bnaya , shadi ke wokt pakana ata hi ni tha sab Umar ke liy sikha , morning me un ke liy khana bna ke lana acha lagta tha .

Unho ne kaha hy ke " ab me nashta ni bnati , ab morning me uth ke chay ka cup side table pe ni rakti , ab morning me bedroom ka TV on ni krti , ab ap ki kursi per koi ni bethta hy .

Zareen khan ne kaha hy ke " ap ki death ke baad ghar me aur zindagi sab badal gya hy .

Umar Sharif ki wife jazbati hoty hoy kaha hy ke " mot to ati hy mujhy bhi ai gi lakin me un logo ko kabhi maaf ni karo gi jo ap ki moot ki waja bany .



Unho ne kaha jo sari dunia ko hansata tha , us ko jis ne rulaya me usy maaf ni karo gi .

Zareen Umar ne mazeed kaha ke " Allah unhy kabhi maaf ni kary ga , 40 din shadi shudah thi aur aj bewah hon , me kisi ko bhi maaf ni karo gi .

clear rhy ke dedh month phly shadeed bimari ki halat me is legend actor ko Jermaney ke ak hospital me death ho gai thi .

Post a Comment

Previous Post Next Post